Best 5 Wordpress Theme For Bloging 2024 in hindi

Bloging ke liye WordPress ko sabse accha platform maana jaata hai kyunki ismein kisi bhi tarah ki programming ki jaankari ki zaroorat nahi padti. Agar aap bhi koi blog banana chahte hain, toh aapko ek behtareen WordPress theme ka istemal karna hoga. Ek baat ka dhyaan rakhein, theme jitni attractive hogi, logon ka aakarshan utna hi zyada hoga.

WordPress Themes kya hain?

WordPress themes aapke website ya blog ka design, layout aur dikhaawat hoti hain. Iske istemal se aap apne website ya blog ka design themes ke anusar badal sakte hain. WordPress par ise kaafi aasani se badla ja sakta hai.

Ek WordPress Theme mein kya-kya features hone chahiye?

Aise toh WordPress par hazaaron ki sankhya mein free aur paid themes mil jaayengi, lekin kuch hi aisi themes hain jo sabhi tarah ke features se poorn hoti hain:

  • Mobile Responsive: Theme select karte samay dekh lein ki kya yeh mobile-friendly hai ya nahi, matlab mobile browser par sahi se dikhta hai ya nahi.
  • Theme Loading Speed: Theme ka loading speed kaafi maayne rakhta hai. Agar aapka blog khulne mein zyada samay leta hai, toh user aapke blog se bahar nikal jaayega.
  • SEO Ready: SEO ready hone se aapka blog Google par achha rank karega, jisse aapka blog Google par aasani se search kiya ja sakta hai.
  • AdSense Ready: Isse aap apne blog se achha- khaasa earning kar sakte hain.
  • Third-party Plugin Integration: Kuch themes aise hote hain jo apne themes ke saath plugins bhi free mein dete hain.
  • Multilingual Theme: Agar aap Hindi mein blogging karna chahte hain, toh iske liye aapko multilingual theme select karna hoga, jisse aapka content Hindi mein sahi se show ho.
  • Demo Facility: Demo data hone se aapko blog ki design set karne mein zyada pareshani nahi hogi.

Iske alawa aur bhi features hain jaise social media ready, theme updates, header-footer settings, etc., jinse aap apne blog ko aur advanced bana sakte hain.

1. Sahifa Responsive WordPress Theme

Sahifa - Responsive WordPress News Magazine Blog Theme 

Blogging ke liye Sahifa sabse behtareen WordPress theme hai. Ye ek bahu-uddeshiya theme hai jiska istemal har tarah ke website ya blog banane ke liye kiya ja sakta hai. Iska layout, design aur features itne behtareen hain ki ye pehli nazar mein hi bahut attractive lagta hai. Is theme mein blogging ke liye bahut saari features hain. Agar aap blogging poore dil se karna chahte hain, toh aaj hi is theme ko kharid lein.

2. Newspaper

Newspaper Theme 

Newspaper ek bahut hi popular WordPress theme hai, jise ThemeForest par 40,000 baar kharida ja chuka hai. Iska look aur design itna accha hai ki duniya bhar ke log ise pasand karte hain. Iska istemal karna bhi bahut simple hai; ismein kisi tarah ki advance jaankari ki zarurat nahi padti. Bas isse apne WordPress panel mein install karke iske nirdeshon ka palan karein, ye aapko website banane ka step-by-step guidance deta hai.

3. Herald – News Portal & Magazine WordPress Theme

Herald - News Portal & Magazine WordPress Theme


Herald ek modern WordPress theme hai jismein kisi bhi tarah ki coding jaankari ki zarurat nahi hai. Iska drag-and-drop setting itna zabardast hai ki isse set karne mein aapko bahut maza aayega. Look aur design ke maamle mein ye kisi se kam nahi hai. Ismein 500 se zyada layout options aur unlimited sidebar diye gaye hain. Blogging ke liye ye best theme hai.

4. Voice – WordPress Theme

Voice - Clean NewsMagazine WordPress Theme 


Magazine/blogging ke liye Voice bhi ek accha example hai. Is WordPress theme ko eCommerce ke liye bhi design kiya gaya hai, matlab aap ispar kisi bhi tarah ke products bhi bech sakte hain. Naye bloggers ke liye ye best theme ho sakti hai kyunki iska setting panel kaafi simple hai. Setting mein jitna simple, utna hi behtar iska look aur design hai. Agar aap WordPress par blog banana chahte hain, toh aaj hi is theme ko kharid kar download kar lein.

5. GoodLife – Responsive Magazine & Newspaper Theme

GoodLife - Responsive Magazine & Newspaper Theme


GoodLife magazine aur newspaper ke liye ek behtareen WordPress theme hai. Is theme mein aapko aaj ke zamaane ke lagbhag sabhi features mil jayenge. Ye ek SEO Ready WordPress theme hai, matlab iska Google par ranking achha hoga. Look aur design ke maamle mein ye kisi se kam nahi hai. Theme panel ki baat karein toh ismein bahut saare settings diye gaye hain, jisse aap apne hisaab se setting kar sakte hain. GoodLife mein kai saare demo ka option milta hai, jisse aap apne hisaab se demo install kar sakte hain.

*

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post